raazdaaron se bach ke chalta hun
gham-gusaaron se bach ke chalta hun
mujhko dhoka diya saharon ne
ab sahaaron se bach ke chalta hun
shiraaza-e-hayaat parishaan ho gaya
ye marhala bhi Khaiir se asaan ho gaya
mere sukuun-e-dil ko toh hona hi tha tabaah
unnki bhi ek nigaah ka nuqsaan ho gaya
muhabbat ki koi manzil nahin hai
muhbbat mauj hai saahil nahin hai
meri afsurdagi[sadness] pe hasne wale
tere pahlu mein shayad dil nahin hai
kehte ho mujhse ishq ka afsana chahiye
rusvai ho gayii, tumhen sharmana chahiye
khuddar itni fitrat-e-rindana chahiye
saaqii ye Khud kahe tujhe paimana chahiye
mattii Kharab karte ho kyun bimaar-e-hizr ki
jo tumpe marr gaya usse dafnana chahiye
aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaruur
go haath ko jumbish nahin aankhon mein toh dam hai
rehne do abhii saaghar-o-miina mere aage
kyunki ....
aankhon mein dam ruka hai, aankhon mein
kehna sitam ko chhodo lillah na ab sataao
aankhen taras gayi hain aa jaao aa bhi jaao
khuda ke liye ab toh aa jaao
varnaa…
aankhon mein dam ruka hai, aankhon mein
apne mareez-e-hizr se ab toh na be-niyaaz ho
qaasid payaam-e-khat ko dena bahut na tuul
bas mukhtasar ye kahna ke aa jaao
kab aaoge ?
maah basant mein panchami aayi
sakhian karat sab haar singaaro
kiska main joraa basanti rang pahnuun
jab naahin mere shaam pyaaro
diya sao deevari, nagar sab jag mag
maine madar mein diya hi na baaro
mein kehti phiruun ke
aate aate lab pe aahien thak gayin
aa bhi jaao ab nigaahen thak gayin
kya ban ke qaymat ka sabab aaoge?
chhayi hai ghata aur barasti hai sharab
tum ab bhi na aaye to kab aaoge
aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaruur
varna mareez-e-hizr ko marr jaana chahiye
vada andheri raat mein aane kaa thaa 'qamar'
ab chaand chhup gaya unnhen aa jaana chahiye
No comments:
Post a Comment