Thursday, July 16, 2009

unknown

udasiyan saath jo na laate toh aur kya karte
na jashn-e-shola manaate toh aur kya karte
andhera mangne aaya tha roshni ki bheek
hum apna ghar na jalaate toh aur kya karte

maine masoom baharon mein tumhen dekha hai
inn hasiin raah-guzaaron mein tumhen dekha hai
mere mehboob teri parda_nashini ki qasam
maine ashkon ki qataron mein tumhen dekha hai

jab bhi rudaad-e-gham sunate hain
ashq palkon pe muskurate hain
jinki khatir lutaa diya sab kuch
wohi mera nishaan mita'te hain

qismat mein na_umeedi-o-hasrat hai ! kya karoon ?
uss bewafa se mujhko mohabbat hai ! kya karoon ?

yaqeen-e-ishq toh dekho ke usske vaadon par
fareb khaaye bohot phir bhi aitbar kiya

main jiske ek ishare pe jaan waar aaya
usse na meri mohabbat ka aitbar aaya

main kar raha tha faqt tajurba mohbbat ka
ab aise aag lagi hai bujha nahi sakta
yeh maanta hoon ke main tujhko paa nahi satka
tera khayal magar dil se ja nahi sakta

zulf rukh se hata ke baat karo
raat ko din banaa ke baat karo
yeh bhi andaaz-e-guftugu hai koi
jab bhi karo dil dukha ke baat karo

har ek baat pe kehte ho tum ke tu kya hai
tumhi batao yeh andaz-e-guftugu kya hai

naseh teri naseehat mere kis kaam aayi hai
nek-o-bad sujhata nahi jab dil kahin lag jaaye hai
hazrat-e-nah se jo aaye deeda-o-dil farsh-e-raah
yeh toh samjhao koi woh aake samjhaeinge kya

marne wale toh apni jaan se gaye
yaar ki bewafaiyan na gayi
kya hua unnke saath gar hai raqeeb
phool ke saath khaar hota hai

jab woh aate nahi shab-e-vaada
maut ka intizaar hota hai

ishq pe zindagi ka ae purnam
sara daromadaar hota hai

bewafa se bhi pyaar hota hai
bewafa se bhi pyaar hota hai

No comments:

Post a Comment

wel come