Thursday, July 16, 2009

unknown

aisa banana sawrna mubark tumhen
vo kya sanware, meri kismat sanwar gayi

vo agar ban sawar gaye honge
dekhne wale marr gaye honge

hazaron vaade sab ussne iss surat se paale hain
kabhi mehndi lagayi hai kabhi gesu sambhale hain

mareezon ka dam aankhon mein hai voh hai mehv-e-araish
vahan honto ki lali hai yahan jaanon ke lale hain

hazaron fariyad kar rahe hain magar kisi par nazar nahi hai
voh mehv hain aaine mein aise ke unnko apni khabar nahi hai

aaine mein har ada ko dekh kar kehte hain vo
aaj yeh dekhenge hum kis kis ki aayi hui hai

sajne ke waqt yeh bhi zara dekhte nahi
aaina dekhta hai unhen kis nigah se

unhen aaraish-e-gesu se matlab
koi deewana ho jaaye bala se

aisa banana sawrna mubark tumhen
kam se kam itna kehna hamara karo
chand sharmayega chandi raat mein
yun na zulfon ki apni sanwara karo

yeh tabssum yeh aariz yeh roshan jabeen bhi
yeh ada yeh nigahen yeh zulfen haseen
aaine ki nazar lag na jaaye kahin
jaan-e-jan apna sadqa utara karo

dil toh kya cheez hai jaan se jayenge
maut aane se pehle hi marr jayenge
yeh ada dekhne wale lut jayenge
yun na hass hass ke dilbar ishara karo


har ada mastana sar se paaon tak chaayi hui
uff teri kaafir jawani josh par aayi hui
kya qaymat yeh ada hai yeh ada kya qaymat ...

bismil ka khuda hafiz, qatil ka khuda hafiz
tum jis dil par nazar daalo uss dil ka khuda hafiz

andaaz apne dekhte hain aaine mein voh
aur ye bhi bekhte hain koi dekhta na ho

dil churane ki ada khaas hua karti hai
dekh lete hain voh guz_deeda nazar se

zara unnki shokhi toh dekhiye
liye zulf-e-kham_shuda haath mein
mere paas aake dabe dabe
mujhe saanp keh ke dara diya

dil mera le kar yeh zaalim ne kaha
jao raasta lo .... tumhara kuch nahi
angdai le ke ussne mujh par khumaar dala
zalim ki iss ada ne bas mujhko maar dala

angdai bhi vo lene na paaye utha ke haath
dekha mujhe toh chod diye muskura ke haath

yeh ada dekhne wale lut jayenge
yun na hass hass ke dilbar ishara karo

fikr-e-uqba ki masti utar jaayegi
tauba tooti toh qismat sanwar jaayegi
tumko duniya mein zannat nazar aayegi
sheikh ji mai_kade ka nazara karo

kaam aaye na mushkil mein koi yahan
matlabi dost hai matlabi yaar
iss jahan mein nahi koi ehl-e-wafa
ae fana iss jahan se kinara karo

aisa banana sanvarna mubark tumhen
kam se kam itna kehna hamara karo .........

No comments:

Post a Comment

wel come