qissa abhi hazaab se aage nahin badha
main, aap, who janaab se aage nahin badha
huddat hui kitaab-e-muhbbat shuru kiye
lekin main pehle baab se aage nahin badha
lambi musafatein hain magar iss sawaar ka
paaon abhi raqaab se aage nahin badha
logon ne sang-o-qisht ke qil’le bana liye
apna mehal to khwab se aage nahin badha
tool-e-kalam ke liye maine kiye sawaal
who mukhatsar jawab se aage nahin badha
No comments:
Post a Comment