Saturday, July 4, 2009

iss ruuh ki uljhan ka sabab aur hi kuch hai

iss ruuh ki uljhan ka sabab aur hi kuch hai
ab zeest ka andaaz ajab aur hi kuch hai
din aur kisi rang mein shab aur hi kuch hai
duniya ke masale toh sapni apni jagah hain
iss ruuh ki uljhan ka sabab aur hi kuch hai
pehle toh behal jaati thi ashkon se kisi tor
kuch din se teri yaad ka dhab aur hi kuch hai
bujhne pe chiragon ke bhi jaate nahin hum log
hum ahl-e-waffa ka toh nasab aur hi kuch hai
suraj ki tamazat ko toh jhel aaye thay lekin
chaaon ka ye aazar ghazab aur hi kuch hai
khwahish nahin duniya ke kisi jaah-o-jashan ki
hum khaak nashinon ki talab aur hi kuch hai

No comments:

Post a Comment

wel come