Saturday, July 4, 2009

zinda hun iss tarah ki gham-e-zindgi nahin

zinda hun iss tarah ki gham-e-zindgi nahin
jalta hua diya hun magar roshani nahin
vo muddaten hui hain kisi se juda huye
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
aane ko aa chuka tha kinara bhi saamne
khud usske paas meri hi nayya gayi nahin
honton ke paas aaye hansi, kya majaal hai
dil ka muamla hai koi dillagi nahin
ye chaand ye hawa ye fiza, sab hai maand maand
jo tu nahin toh inn mein koi dil-kashi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come