Wednesday, July 22, 2009

shaadab-sa ik chehra dekhon

aankh khule, shaadab-sa ik chehra dekhon
beech se tu hat jaaye toh kya-kya dekhon
aansu-aus mein bhegne wale ye raste
manzil tak le jaayen yeh sapna dekhon
aankhon par yeh qahar bhi nazil hona tha
dil-diwar ka khauff_zada saaya dekhon
ik kamjor-se lamhen mein yeh khwahish ki
tujhko akela aur bohat tanha dekhon
paani ki jis boondh se mera rishta hai
paani ki uss boondh ko main payasa dekhon
aisi kaali-lambi raat mili mujhko
haan chaha tha suraj ko dhalta dekhon
mere maalik ! mujhko itni mohlat de
naye sire se main teri duniya dekhon

No comments:

Post a Comment

wel come