Wednesday, July 22, 2009

tujh-sa dikhai deta hai

teri judai mein kya-kya dikhai deta hai
kahin pe tu kahin tujh-sa dikhai deta hai
zamana ho gaya aise kisi safar mein hun
ki ab na mod na rasta dikhai deta hai
ulajh rahi hai bohat mujhse mere paanv ki gard
qadam-qadam pe tamasha dikhai deta hai
ajeeb waqt, suno, aa pada hai suraj par
tulu'a hota na dhalta dikhai deta hai
ye meri aankhein nahin dosron ki aankhein hain
andhera hai pa'[par] ujala dikhai deta hai

No comments:

Post a Comment

wel come