Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

unn mein se bach rahe jo, hum hain miyan
sab issi baat ke hi gham hain miyan
dukh samjh lenge log kam hai miyan
jii mein aise hi kuch bharm hain miyan
ik dhundhulka hai aankh kea age
aur rukte huye qadam hain miyan
khauff mein hai khala ki khamoshi
faansle ab bohat hi kam hain miyan
mar ke bhi chhot jaayen kaun kahe
jaane kitne abhi janam hain miyan
qaabile-zikr koi baat nahin
kya kahen kyun uddas hum hain miyan
maslaa hal kare toh kaise kare
ibn-e-mariyam ke apne gham hain miyan

No comments:

Post a Comment

wel come