Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

umar lambi toh hai magar baba
saare manzar hain aankh bhar baba
zindgi jaan ka jarar[lose] baba
kaise hogi guzar-basar baba
aur ahista se guzar baba
saamne hai abhi safar baba
tum bhi kab ka fasana le baithe
ab vo diwar hai na dar baba
bhule bisre zamane yaad aaye
jaane kyun tumko dekh kar baba
haan, haveli thi ik, suna hai yahan
ab toh baqi hai bas khandhar baba
raat ki aankh dabdaba aayi
dastan kar na mukhtsar baba
har taraf samt hi ka sahra hai
bhaag kar jayenge kidhar baba
ussko saalon se naapta kaisa
vo toh hai sirf saans bhar baba
ho gayi raat apne ghar jaao
kyun bhatkte ho dar-b-dar baba
rasta ye kahin nahin jaata
aa gaye tum idhar kidhar baba

No comments:

Post a Comment

wel come