Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

purkhon se jo mili hai vo daulat bhi le na jaaye
zalim hawa-e-shehr hai izzat bhi le na jaaye
vehshat toh sang-o-khist ki tartiib le gayi
ab fikr ye hai dasht ki vus’aat[vistaar] bhi le na jaaye
peeche pada hai sab ke jo parchaiyon ka paap
humse adavaton ki vo aadat bhi le na jaaye
aangan ujad gaya hai toh gham usska ta-b-ke[kab tak]
muhtaat[sachet] reh ki ab ke vo ye chat bhi le na jaaye
barbadiyan sametne ka ussko shaunq hai
lekin vo unnke naam par barkat bhi le na jaaye
aadil[nayaye karne wala] hai usske adal par humko yaqin hai
lekin vo zulm sehne ki himmat bhi le na jaaye
unn suhbaton ka zikr toh zikr-e-fazool hai
dar hai ki lutf-e-shukr-o-shikyat bhi le na jaaye
khud se bhi bhadh ke uss pe bharosa na kijiye
vo aaiina hai dekhiye surat bhi le na jaaye

No comments:

Post a Comment

wel come