Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

manzilen khwab aur safar ab tak
mit gaya dasht rehguzar ab tak
hai koi saath humsafar ab tak
khauff ke saath hai khatar ab tak
aaiine sainkadon mayssar hain
khud ko pehchan’ne ka darr ab tak
ho chale zard sabz saaye bhi
bekhabar ko nahin khabar tak
kitne diwaron-dar se guzra hun
zehan mein hai magar shajar ab tak
yaad kar kar ke jaane walon ko
phodte hain kiwad sar ab tak
jaane kisko sadyein deta hai
bin kiwadon ka ek dar ab tak
shakh ko ek baar choda tha
dhondhta hun ghana shajar ab tak

No comments:

Post a Comment

wel come