Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

gaye dinon ki yaad-sa vo phir kahin se aa gaya
khafa khafa-sa aaya tha, khafa khafa chala gaya
bujha bujha mila magar chirag ik jala gaya
gayi ruuton ka vo mujhe bhi aaiina dikha gaya
ik aakhri chirag rahguzare-intzaar ka
na jaane jii mein aayi kya ki ussko bhi bujh gaya
main teri ek ek baat yaad kar ke ro pada
tu ek ek kar ke apni baaten bhulta gaya
uthaye bojh umar ka, khada hun hanfta hua
nagar nagar mein kaun tha jo raste bichha gaya
saliib-e-subah chumti hain kasmsati koplen
chaman ke goshe-goshe[kone] mein udasiyan ugaa gaya
ruki ruki-si barishon ke bojh se dabi dabi
jhuki jhuki-si tehniyon ko aaj phir hila gaya
udas udas raston pe sham ki khamoshiyan
kisi ka haath chuu gaya, tera khyal aa gaya

No comments:

Post a Comment

wel come