Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

tumhen bhi shehr ke chorahe par saja denge
tumhare naam ka pathar kahin laga denge
kuch aur paas nahin toh kisi ko kya denge
kisi ne aag laga di toh vo hawa denge
ye aur baat ki vo usski kya saza denge
zamane walon ko hum aaiina dikha denge
bichadte waqt kisi se, ye jii mein socha tha
bhulana chaha toh sau tarah se bhula denge
kitab-e-ziist ke auraaq jal nahin sakte
ye maana mez se tasveer toh hata denge
‘kahan se aaye ho le kar ye khaaq khaaq badan’
kisi ne puuch liya toh jawab kya denge
ussi ke saaye mein palti hai na ye dard ki bel
ujaad umar ki diwar hi gira denge
judaiyon ke hain jangle mein zaat ke raahi
ye veham dil mein ki hum faansle mita denge

No comments:

Post a Comment

wel come