Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

barf hai raat, magar yaar pighalti hi nahin
zam gayi zehan mein aisi ki pighalti hi nahin
umr ki taai se, jaaye toh palat’ti hi nahin
ek hi rukh pa’ hai vo, chaal badalti hi nahin
gusl kar jaati hai chupchap meri aankhon mein
raah mein khaar uge hain pa’ atakti hi nahin
ab ujalon pa’ andheron ka guman hota hai
raat toh raah kisi taur bhatakti hi nahin
sham, shamshaan-si viran hai, jaane kab se
aur samjhaaun sahar ko toh samjhti hi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come