Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

ab baam-o-dar ka sard badan chat’ti hai dhoop
jiinon ko paar kar ke kahan aa gayi hai dhoop
mumkin hai ye ki bheed mein ‘sangaya’ ka bhaap ho
ik baar zor se kaho kitni kadi hai dhoop
sau-sau jatan se ussk a tarasha gaya badan
kuvvat[shakti] mili kisi ko, kisi ko mili hai dhoop
aise mein khusk pat’ton se ummid kya Karen
qadmon bade hain saaye toh milon badi hai dhoop
ab toh kisi ko aarzu-e-baalo-par nahin
phir kis ke par jalaane ko par tolti hai dhoop
maahi ke khaar se vo ulajhta hai raat bhar
aafaaq ke qareeb padi kenchulihai dhoop
basti mein aa ke tab dikhaye toh kya hua
jangle mein jugnuon ka badan chaat’ti hai dhoop
darwaze saare shehr ke andhar se bandh hain
ab ke ajeeb logon ke pale padi hai dhoop

No comments:

Post a Comment

wel come