Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

khud hun tamahsa khud hi tamashaiyon mein hun
jab se suna hai main tere shaidaiyon mein hun
giraaiyon[vistaar] mein hun, kabhi gehraiyon mein hun
roz-e-azal se aankhon ki angnaiyon mein hun
ik-ik nafs ke saath jala jis ke vaaste
usska khayal hai ki main harjaiyon mein hun
aevane-khwab chhod ke nikla hun jab se main
saanson ki gunjti hui shehnaiyon mein hun
andhe kuyen se andhe kuyen mein gira diya
socha nahin ki main bhi tere bhaiyon mein hun
phute hain an gang se tere mera hi rang
main hi toh teri toot’ti anganiyon mein hun
kehta hai vo ki tujhse allagh main kahan ‘nizaam’
tanhaiyon mein tha teri ruswaiyon mein hun

No comments:

Post a Comment

wel come