Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

kya khabar thi aatishi’n aab-o-hawa[garm hawa aur paani] ho jaunga
khaaq-khuun ka mustqil[still] main silsila ho jaunga
ibtida hun aap apni inteha ho jaunga
baarishon ka qurb pa kar phir hara ho jaunga
jhadiyon ki ungliyon lapkengi garden ki taraf
pehli shab ke aakhri pal ki dua ho jaunga
aasman ki samat utthenge bagule aur main
rafta-rafta ik mukam-e-ghumshuda ho jaunga
chilchilati dhuup mein apna sarapa dekh kar
raat ki tanhaiyon ka vasvasa[fear of bad] ho jaunga
kuch na kuch khota chala jaunga ik ik mod par
aur phir main ek din tera kaha ho jaunga
khurdure aur khokhle bargad ka baazu thaam kar
subahe-simeen ka ma’ale-tai’shuda[pre-defined end] ho jaunga
jab koi jhukne lagega sham ki dehleez par
gumbade-mohuum[bharam] ka main mubtana[buniyad dalna] ho jaunga
phadphadate dekh kar taaron mein kaftar[kabootar] ko ‘nizaam’
ungli ki uljhanon mein mubtala[grasit] ho jaunga

No comments:

Post a Comment

wel come