Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

aks ne aaiine ka ghar choda
ek sauda tha jis ne sar chhoda
bhagte manzron ne aankhon mein
jism ko sirf aankh bhar chhoda
har taraf raushni-si phel gayi
sanp ne jab kabhi khandhar chhoda
dhool udti hai dhoop baithi hai
oos ne aansuon ka ghar chhoda
khidkiyan peet’ti hain sar shab bhar
aakhiri fard[aadmi] neb hi ghar chhoda
kya karoge ‘nizaam’ raaton mein
zakhm ki yaad ne agar chhoda

No comments:

Post a Comment

wel come