ik saayen saayen ghere hai girte makan ko
aur aankhein taakti hain chamakti chattan ko
chadhte hi mere, ho gayi diwar se allagh
hasrat se dekhta hun ussi nirdban[stais] ko
andheshe duur duur ke, nazdeek ka safar
kishti ko dekhta hun kabhi baadban ko
zindane[jail]-rozo-shab mein hai hum sabko umr qaid
koi bachaye aa ke mere khandaan ko
yaadon ke shoro-gul khadi ghar ki khamushi
aawaz de rahi hai kisi meharbaan ko
barson se ghumta hai issi tarah din raat
lekin zamiin milti nahin aasman ko
No comments:
Post a Comment