Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

diwar-o-dar khamosh darichon pa’ yaas[nirasha] hai
kya jaane shehr kis liye itna uddas hai
bichhade huaon ki yaad kahin aas-paas hai
barish ki pehli sham ka manzar uddas hai
unnki kise khabar hai pata kis se puchiye
bichhde huon ki yaad yahan kis ke paas hai
iss soch mein khada hun, usse kya jawab dun
vo mujhse puchhta hai kit u kyun uddas hai
ab ke baras bhi vo toh subaksar[sharmsar] ho jayega
sawan se kya bujhegi vo sehra ki payas hai
lagta hai jangleon ki zamiin par basi hai vo
basti mein itna kis liye khauff-o-hiraas hai
bearish ne jaate-jaate palat kar kaha ‘nizaam’
teri ye umr hai ki sulagti kapaas hai

No comments:

Post a Comment

wel come