Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

kai shaklon mein khud ko sochta hai
samandar paikaron ka silsila hai
badalti ruut ka noha[vilaap] sun raha hai
nadi soyi hai jangal jaagta hai
bikharne wala khud manzar-ba-manzar
mujhe kyun zarra-zarra jodta hai
hawa ka haath thaame udd raha hun
hawa faasil hawa hi faasla hai
huduud-e-arz mein ghum hone wala
ufuuq ko imkaan-imkaan jaanta hai

No comments:

Post a Comment

wel come