Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

maine toh aisa koi manzar kabhi dekha na tha
dil dhala jaata tha aur saaya koi lamba na tha
phir toh uss ke saamne jaise koi raasta na tha
jitne wala kabhi yun hausla haara na tha
log toh kehte thay lekin main bhi toh andha na tha
maine khud dekha hai mere dhad[body] pa’ bhi chehra na tha
rokna chaha tha maine vo bhi ruk jaata magar
ek jhonka tha hawa ka vo thehar sakta na tha
kitne hi kache ghade lehron ko yaad aane lage
sahilon ke honton par aisa kabhi noha[sad song] na tha
god mein maaon ki bachche raat bhar rote rahe
paas puuton_waliyon ke kya koi qissa na tha

No comments:

Post a Comment

wel come