Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

ab khayalon mein hai na khawabon mein
naam jinke likhe kitabon mein
aankh suni hai aasman viran
aab agar hai toh hai saraabon mein
raat aur din ke saath saansein bhi
umr tu hai kahan hisabon mein
ab ke maushamon mein kya hua ussko
kyun khaluus ab nahin khitabon mein
zindgi mein na pa sake jinko
dhoondhte hain unnhen kitabon mein
ye suna hai nizaam naam nahin
tere badle huye nisaabon mein
vo thama bhi toh kya karunga ‘nizaam’
phans gaye paanv hi raqabon mein

No comments:

Post a Comment

wel come