Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
bekhauff koi rasta chalna ke liye de
aankhon ko ata khwab kiye sukriya, lekin
paikar bhi koi khwabon mein dhalne ke liye de
paani ka hi paikar kisi parbhat ko ata kar
ik boond hi nadi ko uchalne ke liye de
sehmi hui shakhon ko zara-si, koi muhalat
suraj ki sawari ko nigalne ke liye de
sab waqt ki diwar se sar phod rahe hain
rozan[chhed] hi koi bhaag nikalne ke liye de
sailaab mein saa’at[pal] ke mujhe phenkne wale
toota hua ik pal hi sambhalne ke liye de
mehfooz jo tartiibe-anasir[line of order of element] se hain asraar[secret]
toh khol[aavran] ko ik aanch pighalne ke liye de
takheel[imagination power] ko takhleek[nirmaan] ki tofeek[himat] ataa kar
phir pehlu se ik cheez nikalne ke liye de

No comments:

Post a Comment

wel come