Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

vo gungunate raaste khwabon ke kya huye
viran kyun hain bastiyan bashinde kya huye
vo jaagti jabiine kahan ja ke soa gayin
vo bolte badan jo simat’te thay kya huye
jin se andheri raaton mein jal jaate thay diye
kitne hasin log thay, kya jaane, kya huye
khamosh kyun ho koi toh bolo jawab do
basti mein chaar chand-se chehre thay, kya huye
humse vo ratjagon ki ada kaun le gaya
kyun vo alaav bujh gaye vo qisse kya huye
poore thay apne aap mein aadhe-adhore log
jo sabr ki saleeb uthate thay kya huye
mumkin hai kat gaye hon vo mausam ki dhaar se
unn par phudakte shokh parinde thay kya huye
kisne mita diye hain faseelon ke faasle
vabasta jot hay humse vo afsane kya huye
khambon pe la ke kis ne sitare tika diye
dalaan puchte hain ki diwane kya huye
unchi imaaratein toh bohat shaandar hain
par iss jagah toh raen-basere thay kya huye

No comments:

Post a Comment

wel come