Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

boond ban ban ke bhikarta jaaye
aks aaiine ka bharta jaaye
ban ke kal kal jo guzarta jaaye
apne vaade se mukarta jaaye
ek hi lai mein bahe jaata hai
aur lagta hai thehrta jaaye
shehr saagar ka bhi humzaad[same nature] kahan
mauj-dar-mauj bhifarta jaaye
aks maakuus[pratibimb] hua hai jab se
apni nazron se utarta jaaye
ek nadi hai ki rukti hi nahin
ek tufan utarta jaaye
ek kopal mein simatne ke liye
ped ka ped bikharta jaaye

No comments:

Post a Comment

wel come