Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

aur kuch der yun hi shor machaye rakhiye
aasman hai toh usse sar pe uthaye rakhiye
ungliyan gar nahin utthe, toh na utthen lekin
kam se kam usski taraf aankh uthaye rakhiye
baarishein aati hain tufan guzar jaate hain
kohsaaron ki tarah paanv jamaye rakhiye
khidkiyan raat ko choda na karen aap khuli’n
ghar ki baat toh phir ghar mein chhipaye rakhiye
ab toh aksar nazar aa jaata hai dil aankhon mein
main na kehta tha ki paani hai dabaye rakhiye
kaun jaane ki vo kab raah idhar bhool pade
apni ummid ki shammaon ko jalaye rakhiye
kab se darwazon ko dehleez tarasti hai ‘nizaam’
kab talak gaal ko kohni pe tikaye rakhiye

No comments:

Post a Comment

wel come