Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

gham ki nadi mein umr ka paani thehra thehra lagta hai
ye fikra jhooth hai lekin kitna sacha lagta hai
jeet ke jazbe ne kya jaane kaisa rishta jod diya
jaani-dushman bhi mujhko ab mera apna lagta hai
‘papa’ ‘papa’ keh kar mere paas nahi aaya koi aaj
nahin hai vo, toh ghar bhi sehma sehma lagta hai
char palon ya char dinon mein hoga vo mehduud[limited] magar
umar ke ghar mein ziist ka angan phela phela lagta hai
iss basti ki baat na puucho iss basti ka qatil bhi
shidha-sida, bhbhola-bhala, pyara-pyara lagta hai
darwaze tal chodne mujhko aaj nahin aaya koi
bas, itni-si baat hai lekin jaane kaisa lagta hai

No comments:

Post a Comment

wel come