Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

kisi ke saath ab saaya nahin hai
koi bhi aadmi poora nahin hai
mere andhar jo andesha nahin hai
toh kya mera koi apna nahin hai
koi patta kahin parda nahin hai
toh kya ab dasht mein dariya nahin hai
toh kya ab kuch bhi dar_parda nahin hai
ye jangle hai toh kyun khatra nahin hai
kahan jaati hain barish ki duayen
shajar par ek bhi patta nahin hai
darakhton par sabhi phal hain salaamat
parinda kyun koi thhera nahin hai
khila hai phool har gamle mein lekin
koi chehra tar-o-taaza nahin hai
dhuan hi hai faqat ghadi ke peeche
yahan kya ek bhi bachcha nahin hai
samjhna hai toh diwaron se samjho
hamare shehr mein kya kya nahin hai

No comments:

Post a Comment

wel come