Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

pathron ki nadi beh gayi shehr mein
jaane kaisi hawa phir chali shehr mein
donon atrraf[taraf] ke log zakhmi huye
pathron ki kahan thi kami shehr mein
sau bars ke jahan zehan-e-atfaal[child’s forehead] hain
rehte hain dosto hum ussi shehr mein
peer se shamba tak dosti ki hadhein
ban gaya kya se kya aadmi shehr mein
inqilabaat ke sargana ban gaye
chai ki mez ke falsafi shehr mein
mukhtlif rang-o-bu ke hain kapde magar
zism ki baas hai ek-si shehr mein
qatra-qatra giri raat akaash se
lamha-lamha bikhrti gayi shehr mein

No comments:

Post a Comment

wel come