Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

makanon ke thay ya zamanon ke thay
azab faansle darmiyanon ke thay
safar yun toh sab aasmanon ke thay
qariine magar qaidkhanon ke thay
thay vehamon ke kuch kuch gumanon ke thay
sabhi apne apne thikanon ke thay
khuli aankh toh saamne kuch na tha
vo manzar toh saare udaanon ke thay
musafir ki nazaren bulandi pa’ thi
magar raste sab dhalanon ke thay
ufuuq zere-pa’ tha, falaq sarnagu
tilismaat kaise taqaanon ke thay
pakadna unnhen kuch zaroori na tha
parinde sabhi aashiyanon ke thay
unnhen dhoondhne tum kahan chal diye
vo kirdaar toh dastanon ke thay

No comments:

Post a Comment

wel come