Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

reit par jitne bhi navishte[likhvate] hain
apne mahol ke muzalle[patrika] hain
kaun jaane kahan dafiine[khazane] hain
apne toh paas sirf naqshe hain
suraten chheen le gaya koi
iss dafa aaiine akele hain
khwab, khusbhu, khayal aur khadshe
ek diwar sau dariche hain
dosti, ishq aur waffadari
sakht_jaan mein bhi narm goshe[kone] hain
padh sako toh padho unnko
shakh-dar-shakh bhi sahife hain
jugnuon ke paron se likhe huye
jangalon mein koi jariide[khabarname] hain

No comments:

Post a Comment

wel come