Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

mauj-e-hawa se phuulon ke chehre utar gaye
gul ho gaye chirag gharonde bikhar gaye
pedon ko chhod kar jo udde unnka zikr kya
pale huye bhi gair ki chhat par utar gaye
yaadon ki ruut kea ate hi sab ho gaye hare
hum toh samjh rahe thay sabhi zakhm bhar gaye
hum ja rahe hain toot’te rishton ko jodne
diwar-o-dar ki fikr mein kuch log ghar gaye
chalet huon ko raah mein kya yaad aa gaya
kiski talab mein kaafile wale thehar gaye
jo ho sake toh ab ke bhi sagar ko laut aa
saahil ke seep savati ki boondon se bhar gaye
ik ek se ye puuchte phirte hain ab ‘nizaam’
vo khwab kya huye, vo manaazir[manzar] kidhar gaye

No comments:

Post a Comment

wel come