Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

kisi ko kuch na batao kisi se kuch na kaho
sabhi se khud ko chipao kisi se kuch na kaho
gharon mein luut ke safar mein raho luteron-se
haqiqaton ko chipao kisi se kuch na kaho
sabhi ki sab se adavat hai aur muhbbat bhi
sabhi se haath milao kisi se kuch na kaho
harik haath mein khanjar hai, tumko kya matlab
tum apni khair manao kisi se kuch na kaho

No comments:

Post a Comment

wel come