Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

fard[aadmi] baki hain khandan kahan
dhoondhte hain makeen makan kahan
ab zamiinon pa’ aasman kahan
dhoop hai sar pa’ sayeban kahan
ab hawaon mein hum muallaq[latke huye] hain
apne hone ka ab gumaan kahan
naapta hun nazar se uchchai
par salamat hai par udaan kahan
tum ho khamosh main bhi gumshum hun
ab koi apne darmiyan kahan
kaghzi naav hai bharosa kya
inn jahazon ke baadban kahan

No comments:

Post a Comment

wel come