Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

main masumon ki masafat[yatra] ka dastango[story-teller] hun
ufuuq ufuuq se magar phut’ta fasana vo
vahi toh hai mujhe qiston mein kaatne wala
main ek ju-e-ravan[nadi] hun mera zamana vo
hamare rishton ko samjhe toh koi kya samjhe
main usski thhor hun aur hai mera thikana vo
purane zakhm kai dil mein tees ban ke uthe
naye safar pa’ hua jab kabhi ravana vo
dayar-e-hizr ke jalte umaste lamhon mein
ghata hai yaad toh barsaat ka bahana vo
kisi ka kuch nahi ho kar bhi sab ka sab kuch tha
nadi ke paar jo ik ped tha purana tha

No comments:

Post a Comment

wel come