Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

kahin se bolta koi nahin hai
toh basti mein bhi kya koi nahin hai
mera jii tujhse bhi bharne laga hai
agarche dosra koi nahin hai
kai sadiyon ki duuri darmiyan hai
bazahir fansla koi nahin hai
main sahra mein sadayein de raha hun
mera bhi humnava koi nahin hai
kutubkhanon[pustakalya] mein ab rakh do hamen bhi
hamen bhi dekhta koi nahin hai
sabhi ke dam ghute jaate hain lekin
khidkiyan kholta koi nahin hai

No comments:

Post a Comment

wel come