Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

ek din phir laut kar main aaunga kehta tha vo
manzaron mein aankh-sa bas jaunga kehta tha vo
mausamon ke aaiinon mein shakal dekhenge shajar
ek tinka chaunch mein le aaunga kehta tha vo
kashtiyan kaagaz ki bachche chhod kar uth jayenge
naddiyon ki mauj se takraunga kehta tha vo
jab zamiin se aasman tak ik khala reh jayega
duuriyon ki daldalon se aaunga kehta tha vo
zulmaton se duub jayega zamane ka jameer
aasman se aag le kar aaunga kehta tha vo
kopalein jab kasamsayengi numuu[ugne] ke vaaste
khud ko khone ke liye phir aaunga kehta tha vo
gardishein hi gardishein hon gol[group] mein jab bhi ‘nizaam’
main khala mein khaak-sa kho jaunga kehta tha vo

No comments:

Post a Comment

wel come