Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

jayega kidhar samte-safar bhi toh nahin hai
thehrega kahan ab ki shajar bhi toh nahin hai
ik naam bhala-sa tha jise bhool chuke hain
dastak kahan deni hai khabar bhi toh nahin hai
jii mein toh ye aata hai zamane ko khuda den
iss baar magar paas hunar bhi toh nahin hai
azdaad[purwaz] ke asraar[secret] raqm kaise karenge
saabit koi shehron mein khandhar bhi toh nahin hai
jo bolna jaane hai vahi bol na paayein
uss shaks ka ab shehr mein darr bhi toh nahin hai

No comments:

Post a Comment

wel come