Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

ek din jis ki ada humko bhi harzai lage
lekin ussko chahte rehne mein aanai[intelligence] lage
khaaq-si udti hui aankhon mein chehra zard hai
shehr ka har shaks ab usska hi saudai lage
inn dar-o-diwar ko jaise kabhi dekha na tha
ajnabi kyun itni apne ghar ki angnai lage
jis tarah catkhe badan reh reh ke koi naaz se
vaise hi aansu mujhe yaadon ki angdai lage
har gali kuche mein charcha ab hamare qurb ka
naam lagta hai usse aur mujhko ruswai lage
phir hui patte ki khadkan phir kahin panchi uda
yaad koi phir mere darwaze tak aayi lage
bas saraabon ki samaahat[bravery] ke siva kuch bhi nahin
duur se jin aankhon mein jheelon-si gehrai lage

No comments:

Post a Comment

wel come