Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

sarnagu hain sa’aton ke silsile sehme huye
duuriyan hi duuriyan hain fansle hi fansle
dastakein deti phire hain kyun hawaien sham se
jhaank kar koi toh dekhe koi darwaza khule
jaagne ki zindgi aur intzaaron ke allav
so gaye kitne hi mausam rasta takte huye
mausamon ka bojh tanha she sakega ya nahin
ped par jitney bhi thay patte purane jhad gaye
suratein hi suratein thin saamne pheli hui
hum magar maani hi surat ke galat samjhe rahe
ek phirta aasman aankhon mein alsaya hua
aur ik tufan ko hain palkein abhi roke huye

No comments:

Post a Comment

wel come