Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

shaakh meri na ab samara mera
akhtiyar ab hai aankh bhar mera
aaiine mein toh aks hai lekin
maar dalega mujhko darr mera

qataa

aasmanon pa’ tu raha khamosh
ghar gaya tere naam par mera
maine sajde mein sar jhukaya tha
le gaye sar utaar kar mera
dasht-o-sahra ujaad aaya hun
dhoondhta hun kahan hai ghar mera
dast-o-baaju liye zaban mat le
aakhiri par toh mat katar mera
mu-ba-mu kuch simat raha hai ‘nizaam’
aur charcha hai dar-ba-dar mera

No comments:

Post a Comment

wel come