jaane kaisi pasand rakhta hai
apni palken vo bandh rakhta hai
khudko kehta hai aasman paiman
kitni auchhi kamand rakhta hai
maara jayega dekhna ik din
kyun dil-e-dardmand rakhta hai
saath wale khaffa khata ye hai
kyun irade buland rakhta hai
dhoop se saamna na ho jaaye
ghar ke darwaze bandh rakhta hai
No comments:
Post a Comment