Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

vahi na milne ka gham aur wahi gila hoga
main janta hun mujhe ussne kya likha hoga
kiwadon par likhi abzad[varnmala] gawahi deti hai
vo haftrangi[seven colour] kahin chaak dhoondhta hoga
purane waqton ka hai qasn[mehal] zindgi meri
tumhara naam bhi uss mein kahin likha hoga
chuban ye peeth mein kaisi hai, mud ke dekh toh le
kahin koi tujhe peeche se dekhta hoga
gali ke mod se ghar tak andhera kyun hai ‘nizaam’
chirag yaad ka ussne bujha diya hoga

No comments:

Post a Comment

wel come