Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

nazne-baani
[in rememberance of modern urdu
ghazal writer bani]


main aurake-jhairani[hairan karne wale pages] mein
ik saaya gandle paani mein
mushkil aayi aasani mein
hain saare manzar paani mein
dhoondhe phir hone ka matlab
ab aayaate-imkaani[sambhavana ke shalok] mein
subahe-azal se main baitha hun
ik benaam pareshani mein
dekho kitni aabadi hai
meri khanavirani mein
kaun bataye kya kaisa hai
hai sab kuch behate paani mein
paani mein paani hota hai
payas nahin hoti paani mein
main usske dil mein rehta tha
ab toh hun bas peshani[forehead] mein

No comments:

Post a Comment

wel come