Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

mere khusk kheton ko barsaat de
tu pedon ko phal, phuul aur paat de
jo chu le dilon ko vahi baat de
hamen toh purani hikayat[kahaniyan] de
farishte fizaon mein phirne lagen
muhbbat ki hum sab ko saughat de
teri azmaton[mahaanta] ko munvvar[parkashit] karen
hamen chand aise bhi lamhaat de
lahu rang roti hui aankh ko
kabhi muzd-e-marg-e-aafaat[sankant ka ant ka sandesh] de
tu aafaak-e-inkaar mismaar kar
hamen ab toh aadab-e-asbaat de
zamiinron mein kandile-qurbat jala
umango ko ulfat ki aadat de

No comments:

Post a Comment

wel come