Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

phir bole san’nate suune
shayad yaad kiya hai tu ne
phir aankhon se neend chura li
kore kaagaz ki khushbu ne
dekha toh jhaadi ko dekha
qaatr aankhon se aahu[hiran] ne
roop ukere kaise kaise
mil kar purwa se baalu ne
kaise kaise naksh nikaale
sahne-khala mein sirf lahu ne
kitne chehron ki aawazein
humko sunayi hai dhu dhu ne
bolna chahein, bol na paayein
zeebh[tongue] ko thaam liya taalu ne
thohar thohar uljhe daaman
yaad ke zakhm huye hain dune
phir pardon ki kya pabandi
sab kuch lafz lage hain chuune
phel gaya jo-kuch likha tha
aansu ko samjha aansu ne

No comments:

Post a Comment

wel come