Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

khaaq bhi ho gayi khala ab ke
jaane kis samat hai hawa ab ke
ho gaya khud se saamna ab ke
faansla aur badh gaya ab ke
vo jo ik mera dosra main tha
chod kar vo bhi chal diya ab ke

gumbad-e-gumrhi[gumrah karne wala gumbad] mein aa puhncha
kaisa bhoola hun rasta ab ke
pehle jangale judai ke thay naseeb
ae khuda ! tune kya likha ab ke
ye safar kis tarah katega ‘nizaam’
saath apne nahindua ab ke

No comments:

Post a Comment

wel come