Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

jangal se julte-bujhte nagar, mere naam kyun
mumkin nahin hai phir bhi mafar[raksha] mere naam, kyun
ayyaam[din] jis mein rehte hon, aaseb[bhoot] ki tarah
khwabon ke khaaq-khaaq khandhar, mere naam kyun
humsaaye mein hazar[pathar], na kahin say-e-shajar
jaamid[jadh]janam janam ka safar, mere naam kyun
mufruur[bhaga hua] mulizmon[guilty]-sa masaaft[yatra] mein mehv[magan] hun
kaale samandaron ka safar, mere naam kyun
shole ki aarzu mein karun, raks[dance] umar bhar
ussne kiya libas-e-shar’r[chingari], mere naam kyun

No comments:

Post a Comment

wel come